rasm duniya ki nibhate hain wafa karte hain
rasm duniyā kī nibhāte haiñ vafā karte haiñ
chhoḌ apnā ki parāyā hai du'ā karte haiñ
maut kā kyā hai agar aa.ī to aa jā.egī
zindagī kyā hai chalo is kā pata karte haiñ
bevafā hai to rahe ban ke mirī yādoñ meñ
us kī yādoñ ko kahāñ dil se judā karte haiñ
muflisī aa.ī sabhī rūThe haiñ ahbāb mire
phone karte haiñ na aane kī du'ā karte haiñ
'āshiqoñ se bhī kabhī bāteñ chhupī haiñ 'e'jāz'
'ishq dhokā hai magar phir bhī kiyā karte haiñ
rasm duniya ki nibhate hain wafa karte hain
chhoD apna ki paraya hai du'a karte hain
maut ka kya hai agar aai to aa jaegi
zindagi kya hai chalo is ka pata karte hain
bewafa hai to rahe ban ke meri yaadon mein
us ki yaadon ko kahan dil se juda karte hain
muflisi aai sabhi ruThe hain ahbab mere
phone karte hain na aane ki du'a karte hain
'ashiqon se bhi kabhi baaten chhupi hain 'e'jaz'
'ishq dhoka hai magar phir bhi kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.