ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja
ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
ye musht-e-ḳhāk apne ko jahāñ chāhe tahāñ le jā
par is 'ālam ko is 'ālam se mat bār-e-garāñ le jā
'adam se jis tarah tanhā chalā aayā thā phir vaañ ko
munāsib hai isī sūrat se sūrat chhoḌ jaañ le jā
kudūrat mā-sivā kī dho le ḳhātir-ḳhvāh ḳhātir se
ba-juz nām-e-ḳhudā hamrāh mat nām-o-nishāñ le jā
azīz-o-aqribā ne māl-o-milkiyyat ba-kār aave
kisī kī dostī kī ai dilā hasrat na vaañ le jā
gadā.ī bādshāhī bhī masāvī vaqt marne ke
tayaqqun kar suḳhan merī par hargiz mat gumāñ le jā
isī duniyā meñ duniyā se kināra kar jo 'āqil hai
mohabbat phir kisī shai kī na saath ai mehrbāñ le jā
na koī le gayā kuchh aur na le jaave koī hargiz
yaqīñ gor-o-kafan milne pe kyā tashkīk haañ le jā
ga.ī bāġh-e-jahāñ se ḳhalq ḳhālī haath le par tū
bahār-e-zindagī se zikr kā gul be-ḳhizāñ le jā
bakheḌā yaañ kā yaañ par chhoḌ 'afrīdī' 'adam āḳhir
na ye dard-o-balā ranj-o-alam āh-o-fuġhāñ le jā
ye musht-e-KHak apne ko jahan chahe tahan le ja
par is 'alam ko is 'alam se mat bar-e-garan le ja
'adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir wan ko
munasib hai isi surat se surat chhoD jaan le ja
kudurat ma-siwa ki dho le KHatir-KHwah KHatir se
ba-juz nam-e-KHuda hamrah mat nam-o-nishan le ja
aziz-o-aqriba ne mal-o-milkiyyat ba-kar aawe
kisi ki dosti ki ai dila hasrat na wan le ja
gadai baadshahi bhi masawi waqt marne ke
tayaqqun kar suKHan meri par hargiz mat guman le ja
isi duniya mein duniya se kinara kar jo 'aqil hai
mohabbat phir kisi shai ki na sath ai mehrban le ja
na koi le gaya kuchh aur na le jawe koi hargiz
yaqin gor-o-kafan milne pe kya tashkik han le ja
gai bagh-e-jahan se KHalq KHali hath le par tu
bahaar-e-zindagi se zikr ka gul be-KHizan le ja
bakheDa yan ka yan par chhoD 'afridi' 'adam aaKHir
na ye dard-o-bala ranj-o-alam aah-o-fughan le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.