Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sach to hai ki tumhaari kami khali mujhko

Kartik Mishra

ye sach to hai ki tumhaari kami khali mujhko

Kartik Mishra

MORE BYKartik Mishra

    ye sach to hai ki tumhārī kamī khalī mujh ko

    magar tumhārī zarūrat nahīñ paḌī mujh ko

    maiñ jis se bhaag rahā thā tamām duniyā meñ

    bhagā rahā hai jahāñ bhar meñ ab vahī mujh ko

    jahāñ kī or jo khiḌkī hai band kar lī hai

    satā rahī thī bahut koī raushnī mujh ko

    ye kaun keh gayā mujh se ḳhayāl rakh apnā

    ye zimme-dārī bhalā kis ne sauñp dī mujh ko

    jo dukh milā hai mujhe vo kisī kā thā pahle

    purānī chiiz na.ī kar ke dī ga.ī mujh ko

    vo ek chiiz ki jis kā pata nahīñ thā ki hai

    tumhāre saath vo ik chiiz mil ga.ī mujh ko

    ye sach to hai ki tumhaari kami khali mujh ko

    magar tumhaari zarurat nahin paDi mujh ko

    main jis se bhag raha tha tamam duniya mein

    bhaga raha hai jahan bhar mein ab wahi mujh ko

    jahan ki or jo khiDki hai band kar li hai

    sata rahi thi bahut koi raushni mujh ko

    ye kaun keh gaya mujh se KHayal rakh apna

    ye zimme-dari bhala kis ne saunp di mujh ko

    jo dukh mila hai mujhe wo kisi ka tha pahle

    purani chiz nai kar ke di gai mujh ko

    wo ek chiz ki jis ka pata nahin tha ki hai

    tumhaare sath wo ek chiz mil gai mujh ko

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now