nazron ne iltifat ki aashiq bana diya to kya
nazroñ ne iltifāt kī 'āshiq banā diyā to kyā
ham ne tumhārī raah meñ dil ko bichhā diyā to kyā
us kī ziyā se aaj bhī raushan jahān-e-'ishq hai
ham ne agar charāġh ko apne bujhā diyā to kyā
jugnū se us ke husn ko phir bhī na chhīn pā.egī
duniyā ne āftāb ko chhat par sajā diyā to kyā
alfāz un ḳhutūt ke mahfūz ab bhī dil meñ haiñ
tum ne shab-e-firāq meñ jin ko jalā diyā to kyā
mujh ko hayā 'azīz thī mere laboñ pe mohr thī
maiñ ne har ek zaḳhm ko apne dabā diyā to kyā
nazron ne iltifat ki 'ashiq bana diya to kya
hum ne tumhaari rah mein dil ko bichha diya to kya
us ki ziya se aaj bhi raushan jahan-e-'ishq hai
hum ne agar charagh ko apne bujha diya to kya
jugnu se us ke husn ko phir bhi na chhin paegi
duniya ne aaftab ko chhat par saja diya to kya
alfaz un KHutut ke mahfuz ab bhi dil mein hain
tum ne shab-e-firaq mein jin ko jala diya to kya
mujh ko haya 'aziz thi mere labon pe mohr thi
main ne har ek zaKHm ko apne daba diya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.