mohabbat ka lahu mein ghulte jaana achchha lagta hai
mohabbat kā lahū meñ ghulte jaanā achchhā lagtā hai
ki ḳhud ko bhuul kar tujh meñ samānā achchhā lagtā hai
na-jāne kaun sī ḳhushbū basī hai tere lahje meñ
tujhe sunñā tujhe hī gungunānā achchhā lagtā hai
kabhī iqrār kī lazzat kabhī inkār kā sadma
mujhe terī galī meñ aanā jaanā achchhā lagtā hai
vo rūhānī sā ik rishta vo pākīza sī ik chāhat
tujhe sochūñ to ḳhud ko bhuul jaanā achchhā lagtā hai
taḌap ho yā sukūñ ho donoñ hī terī amānat haiñ
tire ġham meñ bhī ab to muskurānā achchhā lagtā hai
tirī āñkhoñ ke dariyā meñ utar jaane kī ḳhvāhish hai
ki dariyā se bhī behtar Duub jaanā achchhā lagtā hai
mohabbat ka lahu mein ghulte jaana achchha lagta hai
ki KHud ko bhul kar tujh mein samana achchha lagta hai
na-jaane kaun si KHushbu basi hai tere lahje mein
tujhe sunna tujhe hi gungunana achchha lagta hai
kabhi iqrar ki lazzat kabhi inkar ka sadma
mujhe teri gali mein aana jaana achchha lagta hai
wo ruhani sa ek rishta wo pakiza si ek chahat
tujhe sochun to KHud ko bhul jaana achchha lagta hai
taDap ho ya sukun ho donon hi teri amanat hain
tere gham mein bhi ab to muskurana achchha lagta hai
teri aankhon ke dariya mein utar jaane ki KHwahish hai
ki dariya se bhi behtar Dub jaana achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.