bujhte hue charagh jalate chale gae
bujhte hue charāġh jalāte chale ga.e
ham be-ḳhudī meñ ḳhud ko gañvāte chale ga.e
utrā jo dil meñ dard vo gahrā thā is qadar
ham muskurā ke zaḳhm chhupāte chale ga.e
manzil kā kuchh pata na thā lekin junūn meñ
har rāste pe naqsh banāte chale ga.e
tūfān-e-rozgār kī talḳhī ke bā-vajūd
ummīd ke charāġh jalāte chale ga.e
kyā jaane kis nigāh kā tūfān thā ki ham
hosh-o-havās apne gañvāte chale ga.e
har gaam par jo sang-e-malāmat mile hameñ
ham rāste se un ko haTāte chale ga.e
pal bhar ko bhī na ruk sakī āñkhoñ kī ye nadī
dāman meñ apne ashk chhupāte chale ga.e
be-kār jā rahī thī jo mehnat ḳhulūs kī
phir bhī vafā ke farz nibhāte chale ga.e
shā'ir the aur zabt kā dā'vā bhī thā 'asad'
ash'ār meñ vo raaz batāte chale ga.e
bujhte hue charagh jalate chale gae
hum be-KHudi mein KHud ko ganwate chale gae
utra jo dil mein dard wo gahra tha is qadar
hum muskura ke zaKHm chhupate chale gae
manzil ka kuchh pata na tha lekin junun mein
har raste pe naqsh banate chale gae
tufan-e-rozgar ki talKHi ke ba-wajud
ummid ke charagh jalate chale gae
kya jaane kis nigah ka tufan tha ki hum
hosh-o-hawas apne ganwate chale gae
har gam par jo sang-e-malamat mile hamein
hum raste se un ko haTate chale gae
pal bhar ko bhi na ruk saki aankhon ki ye nadi
daman mein apne ashk chhupate chale gae
be-kar ja rahi thi jo mehnat KHulus ki
phir bhi wafa ke farz nibhate chale gae
sha'ir the aur zabt ka da'wa bhi tha 'asad'
ash'ar mein wo raaz batate chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.