Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bekar gai aaD tere parda-e-dar ki

Shakeel Badayuni

bekar gai aaD tere parda-e-dar ki

Shakeel Badayuni

bekār ga.ī aaḌ tire parda-e-dar

allāh-re vus.at mire āġhosh-e-nazar

shauq se vaa.iz are kyā baat hai Dar

dozaḳh tire qabze meñ hai jannat tire ghar

īmān daulat se tire husn saudā

īmān daulat hai tirī ek nazar

aa jaa.e tasavvur meñ koī hashr-ba-dāmāñ

phir merī shab-e-ġham ko zarūrat hai sahar

vo sāmne haiñ phir bhī unheñ DhūñDh rahā huuñ

āḳhir koī had bhī hai hijābāt-e-nazar

tanhā.ī-e-furqat meñ jo aalam hai idhar

hañgāma-e-mahfil meñ vo hālat hai udhar

kuchh sahl na paa.e haiñ mohabbat ke marātib

chhānī hai bahut ḳhaak tirī rāh-guzar

bekar gai aaD tere parda-e-dar ki

allah-re wusat mere aaghosh-e-nazar ki

pi shauq se waiz are kya baat hai Dar ki

dozaKH tere qabze mein hai jannat tere ghar ki

iman ki daulat se tere husn ka sauda

iman ki daulat hai teri ek nazar ki

aa jae tasawwur mein koi hashr-ba-daman

phir meri shab-e-gham ko zarurat hai sahar ki

wo samne hain phir bhi unhen DhunDh raha hun

aaKHir koi had bhi hai hijabaat-e-nazar ki

tanhai-e-furqat mein jo aalam hai idhar ka

hangama-e-mahfil mein wo haalat hai udhar ki

kuchh sahl na pae hain mohabbat ke maraatib

chhani hai bahut KHak teri rah-guzar ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now