kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah
kiyā hai pyaar jise ham ne zindagī kī tarah
vo āshnā bhī milā ham se ajnabī kī tarah
kise ḳhabar thī baḌhegī kuchh aur tārīkī
chhupegā vo kisī badlī meñ chāñdnī kī tarah
baḌhā ke pyaas mirī us ne haath chhoḌ diyā
vo kar rahā thā muravvat bhī dil-lagī kī tarah
sitam to ye hai ki vo bhī na ban sakā apnā
qubūl ham ne kiye jis ke ġham ḳhushī kī tarah
kabhī na sochā thā ham ne 'qatīl' us ke liye
karegā ham pe sitam vo bhī har kisī kī tarah
kiya hai pyar jise hum ne zindagi ki tarah
wo aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarah
kise KHabar thi baDhegi kuchh aur tariki
chhupega wo kisi badli mein chandni ki tarah
baDha ke pyas meri us ne hath chhoD diya
wo kar raha tha murawwat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna
qubul hum ne kiye jis ke gham KHushi ki tarah
kabhi na socha tha hum ne 'qatil' us ke liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.