naqsh mere lauTne ke sab miTane aa gae
naqsh mere lauTne ke sab miTāne aa ga.e
vo mirī kashtī kināre par Dubāne aa ga.e
sard rātoñ meñ havā.eñ jab sitam Dhāne lagīñ
aag apne āshiyāñ ko ham lagāne aa ga.e
ziist kī us kashmakash se is qadar bezār the
maut ke āġhosh meñ ḳhud ko sulāne aa ga.e
mar ga.ī ho dil meñ jab bhī hukmrānī kī havas
tāj-o-taḳht-e-zindagī ko ham luTāne aa ga.e
saañs kī jo āḳhrī daulat bachī thī dosto
'ishq kī baazī meñ us ko bhī gañvāne aa ga.e
ghuT rahā thā dam hamārā jab anā kī qaid meñ
phuul bulbul phir ġhazal ham ko sunāne aa ga.e
ro rahe haiñ haal par 'az.har' hamāre sab ke sab
ham jo apne haath se maqtal sajāne aa ga.e
naqsh mere lauTne ke sab miTane aa gae
wo meri kashti kinare par Dubane aa gae
sard raaton mein hawaen jab sitam Dhane lagin
aag apne aashiyan ko hum lagane aa gae
zist ki us kashmakash se is qadar bezar the
maut ke aaghosh mein KHud ko sulane aa gae
mar gai ho dil mein jab bhi hukmrani ki hawas
taj-o-taKHt-e-zindagi ko hum luTane aa gae
sans ki jo aaKHri daulat bachi thi dosto
'ishq ki bazi mein us ko bhi ganwane aa gae
ghuT raha tha dam hamara jab ana ki qaid mein
phul bulbul phir ghazal hum ko sunane aa gae
ro rahe hain haal par 'azhar' hamare sab ke sab
hum jo apne hath se maqtal sajaane aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.