mere sine mein jo dil hai sukun ka ek Thikana tha
mere sine mein jo dil hai sukun ka ek Thikana tha
Syed Azhar Hussain Azhar
MORE BYSyed Azhar Hussain Azhar
mire siine meñ jo dil hai sukūñ kā ik Thikāna thā
ġham-e-jānāñ se pahle zindagī kā kyā zamāna thā
na āñkhoñ meñ namī koī na rātoñ kī taḌap mujh meñ
na hoñToñ par kisī kī ārzūoñ kā fasāna thā
farāġhat se guzartī thī hayāt-e-be-ḳhabar apnī
na ġham kī koī mahfil thī na ashkoñ kā bahāna thā
kisī kī yaad kā aanā nahīñ hotā thā siine meñ
na dil meñ dard rahtā thā na maiñ koī divāna thā
lahū the munjamid merī talab koī nahīñ jaagī
magar ashkoñ ko āñkhoñ tak bulāne kā bahāna thā
na husn-o-'ishq kī parvā na hijr-o-vasl ke qisse
faqat ik be-ḳhayālī thī jo merā kal ḳhazāna thā
chalo 'az.har' ye tanhā zindagī bhī ik ġhanīmat hai
balā-e-'ishq kā nā-haq hameñ banñā nishāna thā
mere sine mein jo dil hai sukun ka ek Thikana tha
gham-e-jaanan se pahle zindagi ka kya zamana tha
na aankhon mein nami koi na raaton ki taDap mujh mein
na honTon par kisi ki aarzuon ka fasana tha
faraghat se guzarti thi hayat-e-be-KHabar apni
na gham ki koi mahfil thi na ashkon ka bahana tha
kisi ki yaad ka aana nahin hota tha sine mein
na dil mein dard rahta tha na main koi diwana tha
lahu the munjamid meri talab koi nahin jagi
magar ashkon ko aankhon tak bulane ka bahana tha
na husn-o-'ishq ki parwa na hijr-o-wasl ke qisse
faqat ek be-KHayali thi jo mera kal KHazana tha
chalo 'azhar' ye tanha zindagi bhi ek ghanimat hai
bala-e-'ishq ka na-haq hamein banna nishana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.