Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

be-kaif dil hai aur jiye rahā huuñ maiñ

ḳhālī hai shīsha aur piye rahā huuñ maiñ

paiham jo aah aah kiye rahā huuñ maiñ

daulat hai ġham zakāt diye rahā huuñ maiñ

majbūri-e-kamāl-e-mohabbat to dekhnā

jiinā nahīñ qubūl jiye rahā huuñ maiñ

vo dil kahāñ hai ab ki jise pyaar kījiye

majbūriyāñ haiñ saath diye rahā huuñ maiñ

ruḳhsat huī shabāb ke hamrāh zindagī

kahne baat hai ki jiye rahā huuñ maiñ

pahle sharāb ziist thī ab ziist hai sharāb

koī pilā rahā hai piye rahā huuñ maiñ

be-kaif dil hai aur jiye ja raha hun main

KHali hai shisha aur piye ja raha hun main

paiham jo aah aah kiye ja raha hun main

daulat hai gham zakat diye ja raha hun main

majburi-e-kamal-e-mohabbat to dekhna

jina nahin qubul jiye ja raha hun main

wo dil kahan hai ab ki jise pyar kijiye

majburiyan hain sath diye ja raha hun main

ruKHsat hui shabab ke hamrah zindagi

kahne ki baat hai ki jiye ja raha hun main

pahle sharab zist thi ab zist hai sharab

koi pila raha hai piye ja raha hun main

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now