Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne uske kabhi uski sataish nahin ki

Ahmad Faraz

samne uske kabhi uski sataish nahin ki

Ahmad Faraz

sāmne us ke kabhī us satā.ish nahīñ

dil ne chāhā bhī agar hoñToñ ne jumbish nahīñ

ahl-e-mahfil pe kab ahvāl khulā hai apnā

maiñ bhī ḳhāmosh rahā us ne bhī pursish nahīñ

jis qadar us se ta'alluq thā chalā jaatā hai

us kyā ranj ho jis kabhī ḳhvāhish nahīñ

ye bhī kyā kam hai ki donoñ bharam qaa.em hai

us ne baḳhshish nahīñ ham ne guzārish nahīñ

ik to ham ko adab ādāb ne pyāsā rakkhā

us pe mahfil meñ surāhī ne bhī gardish nahīñ

ham ki dukh oḌh ke ḳhalvat meñ paḌe rahte haiñ

ham ne bāzār meñ zaḳhmoñ numā.ish nahīñ

ai mire abr-e-karam dekh ye vīrāna-e-jāñ

kyā kisī dasht pe ne kabhī bārish nahīñ

kaT mare apne qabīle hifāzat ke liye

maqtal-e-shahr meñ Thahre rahe jumbish nahīñ

vo hameñ bhuul gayā ho to ajab kyā hai 'farāz'

ham ne bhī mel-mulāqāt koshish nahīñ

samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki

dil ne chaha bhi agar honTon ne jumbish nahin ki

ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna

main bhi KHamosh raha us ne bhi pursish nahin ki

jis qadar us se ta'alluq tha chala jata hai

us ka kya ranj ho jis ki kabhi KHwahish nahin ki

ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaem hai

us ne baKHshish nahin ki hum ne guzarish nahin ki

ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha

us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki

hum ki dukh oDh ke KHalwat mein paDe rahte hain

hum ne bazar mein zaKHmon ki numaish nahin ki

ai mere abr-e-karam dekh ye virana-e-jaan

kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki

kaT mare apne qabile ki hifazat ke liye

maqtal-e-shahr mein Thahre rahe jumbish nahin ki

wo hamein bhul gaya ho to ajab kya hai 'faraaz'

hum ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now