Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki

Nazeer Banarasi

kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki

Nazeer Banarasi

kitnī sharmīlī lajīlī hai havā barsāt

miltī hai un adā se har adā barsāt

jaane kis mahivāl se aatī hai milne ke liye

sohnī gaatī huī sauñdhī havā barsāt

us ke ghar bhī tujh ko aanā chāhiye thā ai bahār

jis ne sab ke vāste māñgī duā barsāt

ab bārish meñ na rah jaa.e kisī ke dil meñ mail

sab gagrī dho ke bhar de ai ghaTā barsāt

dekhiye kuchh aise bhī bīmār haiñ barsāt ke

botaloñ meñ le ke nikle haiñ davā barsāt

jeb apnī dekh kar mausam se yaarī kījiye

ab mahñgī hai bahut āb-o-havā barsāt

bādaloñ ghan-garaj ko sun ke bachche tarah

chauñk chauñk uThtī hai rah rah kar fazā barsāt

rāste meñ tum agar bhīge to ḳhafgī mujh pe kyuuñ

mere munsif pe ḳhatā merī hai barsāt

ham to bārish meñ khulī chhat par na so.eñge 'nazīr'

aap tanhā apne sar liije balā barsāt

kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki

milti hai un ki ada se har ada barsat ki

jaane kis mahiwal se aati hai milne ke liye

sohni gati hui saundhi hawa barsat ki

us ke ghar bhi tujh ko aana chahiye tha ai bahaar

jis ne sab ke waste mangi dua barsat ki

ab ki barish mein na rah jae kisi ke dil mein mail

sab ki gagri dho ke bhar de ai ghaTa barsat ki

dekhiye kuchh aise bhi bimar hain barsat ke

botalon mein le ke nikle hain dawa barsat ki

jeb apni dekh kar mausam se yari kijiye

ab ki mahngi hai bahut aab-o-hawa barsat ki

baadalon ki ghan-garaj ko sun ke bachche ki tarah

chaunk chaunk uThti hai rah rah kar faza barsat ki

raste mein tum agar bhige to KHafgi mujh pe kyun

mere munsif pe KHata meri hai ya barsat ki

hum to barish mein khuli chhat par na soenge 'nazir'

aap tanha apne sar lije bala barsat ki

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 301)
  • Author : Nazeer Banarsi
  • Publication : Educational Publishing House (2014)
  • Edition : 2014

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now