Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae

Ahmad Azeem

husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae

Ahmad Azeem

MORE BYAhmad Azeem

    husn-parī ho saath aur be-mausam bārish ho jaa.e

    chhatrī kaun ḳharīdegā phir jitnī bārish ho jaa.e

    aisī pyaas shiddat hai ki maiñ ye duā.eñ kartā huuñ

    jitne samundar haiñ duniyā meñ sab bārish ho jaa.e

    merī ġhazleñ us ke saath bitā.e vaqt hāsil haiñ

    vaisī fasleñ ug aatī haiñ jaisī bārish ho jaa.e

    chhoTe chhoTe tālāboñ se paanī chhīnā jaatā hai

    tum to bas ye kah dete ho thoḌī bārish ho jaa.e

    āñdhī aa.e bijlī kaḌke kaalī ghaTā.eñ chhāne lageñ

    majbūran vo ruke mire ghar itnī bārish ho jaa.e

    tañg aayā huuñ maiñ is hijr-o-vasl būñdā-bāndī se

    to sūkhā paḌ jaa.e Dhañg bārish ho jaa.e

    husn-pari ho sath aur be-mausam ki barish ho jae

    chhatri kaun KHaridega phir jitni barish ho jae

    aisi pyas ki shiddat hai ki main ye duaen karta hun

    jitne samundar hain duniya mein sab ki barish ho jae

    meri ghazlen us ke sath bitae waqt ka hasil hain

    waisi faslen ug aati hain jaisi barish ho jae

    chhoTe chhoTe talabon se pani chhina jata hai

    tum to bas ye kah dete ho thoDi barish ho jae

    aandhi aae bijli kaDke kali ghaTaen chhane lagen

    majburan wo ruke mere ghar itni barish ho jae

    tang aaya hun main is hijr-o-wasl ki bunda-bandi se

    ya to sukha paD jae ya Dhang ki barish ho jae

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now