Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhuan uDati hui dhimi dhimi barish hai

Yasmeen Sahar

dhuan uDati hui dhimi dhimi barish hai

Yasmeen Sahar

dhuāñ uḌātī huī dhīmī dhīmī bārish hai

havā andhī savārī pe andhī bārish hai

hamāre gaañv ke rastoñ kachchī miTTī par

phisal rahe haiñ qadam kitnī gandī bārish hai

zarā khol ke khiḌkī nazar to dauḌāo

dikhā.ī detī nahīñ achchhī-ḳhāsī bārish hai

nikalte vaqt uThā.ī nahīñ ga.ī chhatrī

mirī sahelī mujhe kah rahī thī bārish hai

hamāre aane meñ tāḳhīr ho bhī saktī hai

ye dekh kar yahī lagtā hai jitnī bārish hai

muzākarāt zamīñ kar rahī hai dhuup ke saath

kahīñ pe dekhī sunī tum ne itnī bārish hai

tamām sabz ruteñ aa ke kar rahī haiñ salām

hamāre shahr meñ mausam pahlī bārish hai

ThiThurte paanī meñ sāñsoñ nam milāte hue

nadī meñ chāñd ke ham-rah nahātī bārish hai

namī usī milī hai mahakte phūloñ ko

kiran kiran meñ ghulī jo gulābī bārish hai

maiñ film ke kisī manzar pe baat kar rahī huuñ

dikhā.ī rahī jis meñ barastī bārish hai

tamām ḳhvāb mire mil ga.e haiñ miTTī meñ

tamām shab mirī āñkhoñ meñ jaagī bārish hai

havā shah pe phirtī hai dandanātī huī

hamāre chāroñ taraf sar-phirī bārish hai

maiñ gaaḌī rok ke selfī banā rahī huuñ 'sahar'

magar abhī bhī yahāñ halkī halkī bārish hai

dhuan uDati hui dhimi dhimi barish hai

hawa ki andhi sawari pe andhi barish hai

hamare ganw ke raston ki kachchi miTTi par

phisal rahe hain qadam kitni gandi barish hai

zara si khol ke khiDki nazar to dauDao

dikhai deti nahin achchhi-KHasi barish hai

nikalte waqt uThai nahin gai chhatri

meri saheli mujhe kah rahi thi barish hai

hamare aane mein taKHir ho bhi sakti hai

ye dekh kar yahi lagta hai jitni barish hai

muzakaraat zamin kar rahi hai dhup ke sath

kahin pe dekhi suni tum ne itni barish hai

tamam sabz ruten aa ke kar rahi hain salam

hamare shahr mein mausam ki pahli barish hai

ThiThurte pani mein sanson ka nam milate hue

nadi mein chand ke ham-rah nahati barish hai

nami usi ki mili hai mahakte phulon ko

kiran kiran mein ghuli jo gulabi barish hai

main film ke kisi manzar pe baat kar rahi hun

dikhai ja rahi jis mein barasti barish hai

tamam KHwab mere mil gae hain miTTi mein

tamam shab meri aankhon mein jagi barish hai

hawa ki shah pe hi phirti hai dandanati hui

hamare chaaron taraf sar-phiri si barish hai

main gaDi rok ke selfi bana rahi hun 'sahar'

magar abhi bhi yahan halki halki barish hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now