tark-e-muddaa kar de ain-e-muddaa ho ja
tark-e-mudda'ā kar de ain-e-mudda'ā ho jā
shān-e-'abd paidā kar maz.har-e-ḳhudā ho jā
us kī raah meñ miT kar be-niyāz-e-ḳhilqat ban
husn par fidā ho kar husn kī adā ho jā
barg-e-gul ke dāman par rang ban ke jamnā kyā
is fazā-e-gulshan meñ mauja-e-sabā ho jā
aadmī nahīñ suntā aadmī kī bātoñ ko
paikar-e-'amal ban kar ġhaib kī sadā ho jā
qatra-e-tunak-māya bahr-e-be-karāñ hai tū
apnī ibtidā ho kar apnī intihā ho jā
tark-e-mudda'a kar de ain-e-mudda'a ho ja
shan-e-'abd paida kar mazhar-e-KHuda ho ja
us ki rah mein miT kar be-niyaz-e-KHilqat ban
husn par fida ho kar husn ki ada ho ja
barg-e-gul ke daman par rang ban ke jamna kya
is faza-e-gulshan mein mauja-e-saba ho ja
aadmi nahin sunta aadmi ki baaton ko
paikar-e-'amal ban kar ghaib ki sada ho ja
qatra-e-tunak-maya bahr-e-be-karan hai tu
apni ibtida ho kar apni intiha ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.