ilaj-e-bekasi-e-chashm-e-nam bhi mumkin hai
'ilāj-e-bekasī-e-chashm-e-nam bhī mumkin hai
isī jahāñ meñ madavā-e-ġham bhī mumkin hai
ḳhulūs ho to kahīñ bandagī kī qaid nahīñ
sanam-kade meñ tavāf-e-haram bhī mumkin hai
vafā se haath uThā.eñ na aaj dil vaale
jafā ke baa'd nigāh-e-karam bhī mumkin hai
har ek sāqi-e-mahfil kā e'tibār na kar
subū-e-bāda-e-rangīñ meñ sam bhī mumkin hai
koī zarūr nahīñ har umiid bar aa.e
talab kī raah meñ kuchh besh-o-kam bhī mumkin hai
shab-e-darāz ke gesū sañvar chuke haiñ magar
kahīñ kahīñ pe abhī pech-o-ḳham bhī mumkin hai
shikoh-e-jubba-o-dastār par na jā 'muztar'
kalām-e-shaiḳh meñ pahlū-e-zam bhī mumkin hai
'ilaj-e-bekasi-e-chashm-e-nam bhi mumkin hai
isi jahan mein madawa-e-gham bhi mumkin hai
KHulus ho to kahin bandagi ki qaid nahin
sanam-kade mein tawaf-e-haram bhi mumkin hai
wafa se hath uThaen na aaj dil wale
jafa ke ba'd nigah-e-karam bhi mumkin hai
har ek saqi-e-mahfil ka e'tibar na kar
subu-e-baada-e-rangin mein sam bhi mumkin hai
koi zarur nahin har umid bar aae
talab ki rah mein kuchh besh-o-kam bhi mumkin hai
shab-e-daraaz ke gesu sanwar chuke hain magar
kahin kahin pe abhi pech-o-KHam bhi mumkin hai
shikoh-e-jubba-o-dastar par na ja 'muztar'
kalam-e-shaiKH mein pahlu-e-zam bhi mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.