Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga

Arsh Siddiqui

band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga

Arsh Siddiqui

band āñkhoñ se na husn-e-shab andāza lagā

mahmil-e-dil se nikal sar ko havā taaza lagā

dekh rah jaa.e na ḳhvāhish ke gumbad meñ asiir

ghar banātā hai to sab se pahle darvāza lagā

haañ samundar meñ utar lekin ubharne bhī soch

Dūbne se pahle gahrā.ī andāza lagā

har taraf se aa.egā terī sadāoñ javāb

chup ke changul se nikal aur ek āvāza lagā

sar uThā kar chalne ab yaad bhī baaqī nahīñ

mere jhukne se merī zillat andāza lagā

lafz ma.anī se gurezāñ haiñ to un meñ rañg bhar

chehra hai be-nūr to us par koī ġhāza lagā

aaj phir vo aate aate rah gayā aur aaj phir

sar-ba-sar bikhrā huā hastī shīrāza lagā

rahm khā kar 'arsh' us ne is taraf dekhā magar

ye bhī dil de baiThne mujh ko ḳhamyāza lagā

band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga

mahmil-e-dil se nikal sar ko hawa taza laga

dekh rah jae na tu KHwahish ke gumbad mein asir

ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga

han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch

Dubne se pahle gahrai ka andaza laga

har taraf se aaega teri sadaon ka jawab

chup ke changul se nikal aur ek aawaza laga

sar uTha kar chalne ki ab yaad bhi baqi nahin

mere jhukne se meri zillat ka andaza laga

lafz mani se gurezan hain to un mein rang bhar

chehra hai be-nur to us par koi ghaza laga

aaj phir wo aate aate rah gaya aur aaj phir

sar-ba-sar bikhra hua hasti ka shiraaza laga

rahm kha kar 'arsh' us ne is taraf dekha magar

ye bhi dil de baiThne ka mujh ko KHamyaza laga

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now