Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiTh jata hai wo jab mahfil mein aa ke samne

Muneer Niyazi

baiTh jata hai wo jab mahfil mein aa ke samne

Muneer Niyazi

baiTh jaatā hai vo jab mahfil meñ aa ke sāmne

maiñ bas hotā huuñ us is adā ke sāmne

tez thī itnī ki saarā shahr suunā kar ga.ī

der tak baiThā rahā maiñ us havā ke sāmne

raat ik ujḌe makāñ par ke jab āvāz

guuñj uTThe bām-o-dar merī sadā ke sāmne

vo rañgīlā haath mere dil pe aur us mahak

sham-e-dil bujh ga.ī rañg-e-hinā ke sāmne

maiñ to us ko dekhte jaise patthar ho gayā

baat tak muñh se na niklī bevafā ke sāmne

yaad bhī haiñ ai 'munīr' us shaam tanhā.iyāñ

ek maidāñ ik daraḳht aur ḳhudā ke sāmne

baiTh jata hai wo jab mahfil mein aa ke samne

main hi bas hota hun us ki is ada ke samne

tez thi itni ki sara shahr suna kar gai

der tak baiTha raha main us hawa ke samne

raat ek ujDe makan par ja ke jab aawaz di

gunj uTThe baam-o-dar meri sada ke samne

wo rangila hath mere dil pe aur us ki mahak

sham-e-dil bujh si gai rang-e-hina ke samne

main to us ko dekhte hi jaise patthar ho gaya

baat tak munh se na nikli bewafa ke samne

yaad bhi hain ai 'munir' us sham ki tanhaiyan

ek maidan ek daraKHt aur tu KHuda ke samne

Source :
  • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 244)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now