Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun

Azm Bahzad

bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun

Azm Bahzad

bahut qarīne zindagī thī ajab qayāmat meñ aa basā huuñ

sukūn sub.h chāhtā thā so shām-e-vahshat meñ aa basā huuñ

maiñ apnī añgusht kāTtā thā ki biich meñ niiñd aa na jaa.e

agarche sab ḳhvāb safar thā magar haqīqat meñ aa basā huuñ

visāl-e-fardā justujū meñ nashāt-e-imroz ghaT rahā hai

ye kis talab meñ ghirā huā huuñ ye kis aziyyat meñ aa basā huuñ

yahāñ to be-fursatī ke hāthoñ vo pā.emālī huī hai merī

ki jis se milne aarzū thī usī furqat meñ aa basā huuñ

kahāñ duniyā kahāñ sāñseñ ki sab fareb-e-havās niklā

jazā muddat samajh rahā thā sazā mohlat meñ aa basā huuñ

savāl karne ke hausle se javāb dene ke faisle tak

jo vaqfa-e-sabr aa gayā thā usī lazzat meñ aa basā huuñ

ye un se kahnā jo merī chup se hazār bāteñ banā rahe the

maiñ apne sho.ale ko chukā huuñ maiñ apnī shiddat meñ aa basā huuñ

bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat mein aa basa hun

sukun ki subh chahta tha so sham-e-wahshat mein aa basa hun

main apni angusht kaTta tha ki bich mein nind aa na jae

agarche sab KHwab ka safar tha magar haqiqat mein aa basa hun

visal-e-farda ki justuju mein nashat-e-imroz ghaT raha hai

ye kis talab mein ghira hua hun ye kis aziyyat mein aa basa hun

yahan to be-fursati ke hathon wo paemali hui hai meri

ki jis se milne ki aarzu thi usi ki furqat mein aa basa hun

kahan ki duniya kahan ki sansen ki sab fareb-e-hawas nikla

jaza ki muddat samajh raha tha saza ki mohlat mein aa basa hun

sawal karne ke hausle se jawab dene ke faisle tak

jo waqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat mein aa basa hun

ye un se kahna jo meri chup se hazar baaten bana rahe the

main apne shoale ko pa chuka hun main apni shiddat mein aa basa hun

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now