Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein

Khaleel Tanveer

bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein

Khaleel Tanveer

bahut fasād chhupā thā lahū gardish meñ

bikhar ke ḳhaak hue ik zarā laġhzish meñ

parind shāḳh pe tanhā udaas baiThā hai

uḌaan bhuul gayā muddatoñ bandish meñ

vo haath kyā hue ta.amīr rā.egāñ niklī

makān gir ga.e mausam pahlī bārish meñ

jo qatl-o-ḳhūn āñdhī chalī to thamtī kyā

sabhī sharīk the bastī ke log sāzish meñ

kitāb kholī to lafzoñ ke saath bahne lage

ajab tilism thā us shaḳhs nigārish meñ

bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein

bikhar ke KHak hue ek zara si laghzish mein

parind shaKH pe tanha udas baiTha hai

uDan bhul gaya muddaton ki bandish mein

wo hath kya hue tamir raegan nikli

makan gir gae mausam ki pahli barish mein

jo qatl-o-KHun ki aandhi chali to thamti kya

sabhi sharik the basti ke log sazish mein

kitab kholi to lafzon ke sath bahne lage

ajab tilism tha us shaKHs ki nigarish mein

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now