Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai

Khushbir Singh Shaad

bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai

Khushbir Singh Shaad

bahut dinoñ se mire bām-o-dar hissa hai

mirī tarah ye udāsī bhī ghar hissa hai

phir is ke ba.ad havā aur us rahm o karam

abhī talak to ye pattā shajar hissa hai

zarūr dil se koī rābta hai āñkhoñ

isī liye to lahū chashm-e-tar hissa hai

ye terā taaj nahīñ hai hamārī pagḌī hai

ye sar ke saath utregī sar hissa hai

na jaane 'shād' tirī kab samajh meñ aa.egā

ki ab zamīr-faroshī hunar hissa hai

bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai

meri tarah ye udasi bhi ghar ka hissa hai

phir is ke baad hawa aur us ka rahm o karam

abhi talak to ye patta shajar ka hissa hai

zarur dil se koi rabta hai aankhon ka

isi liye to lahu chashm-e-tar ka hissa hai

ye tera taj nahin hai hamari pagDi hai

ye sar ke sath hi utregi sar ka hissa hai

na jaane 'shad' teri kab samajh mein aaega

ki ab zamir-faroshi hunar ka hissa hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Khushbir Singh Shaad

Khushbir Singh Shaad

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now