karwaTen waqt ki be-kar hui jati hain
karvaTeñ vaqt kī be-kār huī jaatī haiñ
aur bhī dar-pa.e-āzār huī jaatī haiñ
kis ke anfās meñ pinhāñ haiñ bahāroñ ke hujūm
koñpleñ phuuT ke gulzār huī jaatī haiñ
gutthiyāñ valvala-e-shauq kī suljheñ kyūñkar
jitnī khultī haiñ pur-asrār huī jaatī haiñ
nit nayā dard na.ī aas nayā bahlāvā
gardisheñ merī ḳharīdār huī jaatī haiñ
har taqāze pe nayā zābta rahtā hai savār
rūheñ lafzoñ meñ giraftār huī jaatī haiñ
shāyad ab 'ishq hai naumīdī-e-jāved kā naam
āñkheñ rone kī gunah-gār huī jaatī haiñ
shāyad ab abr ke chhaTne kā gumāñ bātil hai
sub.heñ ham-rang-e-shab-e-tār huī jaatī haiñ
jin sadāoñ ke liye gosh-bar-āvāz thā dahr
istilāhoñ meñ giraftār huī jaatī haiñ
ārzūoñ ko hai ab un se shikāyat yā'nī
āzmā.ish kī sazā-vār huī jaatī haiñ
itnī halkī hai shabistān-e-mohabbat kī havā
merī sāñseñ bhī mujhe baar huī jaatī haiñ
ab lapaktī huī kashtī kā sañbhalnā mā'lūm
phir chaTāneñ sī numūdār huī jaatī haiñ
un ke haale meñ kahīñ merā nasheman to na thā
bijliyāñ kis kī parastār huī jaatī haiñ
manzileñ duur sahī rāh-numā chor sahī
laġhzisheñ qāfila-sālār huī jaatī haiñ
tishna-kāmī kā ye 'ālam hai ki merī nazreñ
jis qadar jhuktī haiñ sarshār huī jaatī haiñ
zabt-e-fariyād kā shāyad hai ye anjām 'nadīm'
merī ḳhāmoshiyāñ guftār huī jaatī haiñ
karwaTen waqt ki be-kar hui jati hain
aur bhi dar-pae-azar hui jati hain
kis ke anfas mein pinhan hain bahaaron ke hujum
konplen phuT ke gulzar hui jati hain
gutthiyan walwala-e-shauq ki suljhen kyunkar
jitni khulti hain pur-asrar hui jati hain
nit naya dard nai aas naya bahlawa
gardishen meri KHaridar hui jati hain
har taqaze pe naya zabta rahta hai sawar
ruhen lafzon mein giraftar hui jati hain
shayad ab 'ishq hai naumidi-e-jawed ka nam
aankhen rone ki gunah-gar hui jati hain
shayad ab abr ke chhaTne ka guman baatil hai
subhen ham-rang-e-shab-e-tar hui jati hain
jin sadaon ke liye gosh-bar-awaz tha dahr
istilahon mein giraftar hui jati hain
aarzuon ko hai ab un se shikayat ya'ni
aazmaish ki saza-war hui jati hain
itni halki hai shabistan-e-mohabbat ki hawa
meri sansen bhi mujhe bar hui jati hain
ab lapakti hui kashti ka sanbhalna ma'lum
phir chaTanen si numudar hui jati hain
un ke haale mein kahin mera nasheman to na tha
bijliyan kis ki parastar hui jati hain
manzilen dur sahi rah-numa chor sahi
laghzishen qafila-salar hui jati hain
tishna-kaami ka ye 'alam hai ki meri nazren
jis qadar jhukti hain sarshaar hui jati hain
zabt-e-fariyaad ka shayad hai ye anjam 'nadim'
meri KHamoshiyan guftar hui jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.