Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhanDe-gaDe hain bagh mein abr-e-bahaar ke

Akhtar Shirani

jhanDe-gaDe hain bagh mein abr-e-bahaar ke

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    jhanDe-gaḌe haiñ baaġh meñ abr-e-bahār ke

    qurbān jā.ūñ rahmat-e-parvardigār ke

    gulshan meñ chand rāteñ ḳhushī kī guzār ke

    abr-e-ravāñ ke saath ga.e din bahār ke

    vo rang ab kahāñ chaman-e-rozgār ke

    bulbul ke naġhme haiñ na tarāne hazār ke

    rusvā.ī ke din aa.e kisī mai-gusār ke

    aane lage salām chaman se bahār ke

    betāb valvale haiñ tire intizār ke

    aa ai mirī bahār din aa.e bahār ke

    abr-e-siyah meñ barq-e-hasīñ lahlahā uThī

    yā aa ga.e vo sāmne gesū sañvār ke

    ai abr le sañbhāl ki ham haath se chale

    ai tauba alvidā' ki din aa.e bahār ke

    bāġhoñ pe jhuum jhuum ke bādal nahīñ uThe

    gesū bikhar rahe haiñ ‘urūs-e-bahār ke

    aao ki aisā vaqt na pāoge phir kabhī

    aate haiñ roz roz kahāñ din bahār ke

    'aḳhtar' kisī ke ghar se is andāz se chale

    jaise guzār aa.e hoñ sab din bahār ke

    jhanDe-gaDe hain bagh mein abr-e-bahaar ke

    qurban jaun rahmat-e-parwardigar ke

    gulshan mein chand raaten KHushi ki guzar ke

    abr-e-rawan ke sath gae din bahaar ke

    wo rang ab kahan chaman-e-rozgar ke

    bulbul ke naghme hain na tarane hazar ke

    ruswai ke din aae kisi mai-gusar ke

    aane lage salam chaman se bahaar ke

    betab walwale hain tere intizar ke

    aa ai meri bahaar din aae bahaar ke

    abr-e-siyah mein barq-e-hasin lahlaha uThi

    ya aa gae wo samne gesu sanwar ke

    ai abr le sanbhaal ki hum hath se chale

    ai tauba alwida' ki din aae bahaar ke

    baghon pe jhum jhum ke baadal nahin uThe

    gesu bikhar rahe hain ‘urus-e-bahaar ke

    aao ki aisa waqt na paoge phir kabhi

    aate hain roz roz kahan din bahaar ke

    'aKHtar' kisi ke ghar se is andaz se chale

    jaise guzar aae hon sab din bahaar ke

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now