muqable to ghalat-fahmiyan baDhate hain
muqāble to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
ye valvale to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
qarīb aao to shāyad samajh meñ aa jaa.e
ki fāsle to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
hai mere saath mire dushmanoñ se rabt unheñ
ye silsile to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
agar hai koī shikāyat to mil ke baat karo
murāsile to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
kisī ne qatl kiyā aur sazā kisī ko milī
ye faisle to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
jo rahzanoñ kā ta.āvun qubūl karte haiñ
vo qāfile to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
tanāze.āt meñ behtar hai sulh kar lenā
na.e gile to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
ye laġhzishoñ kā tasalsul ye māzarat paiham
ye marhale to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
charāġh-e-haq haiñ to ḳhāmosh kyuuñ haiñ vo 'razmī'
binā jale to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
muqable to ghalat-fahmiyan baDhate hain
ye walwale to ghalat-fahmiyan baDhate hain
qarib aao to shayad samajh mein aa jae
ki fasle to ghalat-fahmiyan baDhate hain
hai mere sath mere dushmanon se rabt unhen
ye silsile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
agar hai koi shikayat to mil ke baat karo
murasile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
kisi ne qatl kiya aur saza kisi ko mili
ye faisle to ghalat-fahmiyan baDhate hain
jo rahzanon ka taawun qubul karte hain
wo qafile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
tanazeat mein behtar hai sulh kar lena
nae gile to ghalat-fahmiyan baDhate hain
ye laghzishon ka tasalsul ye mazarat paiham
ye marhale to ghalat-fahmiyan baDhate hain
charagh-e-haq hain to KHamosh kyun hain wo 'razmi'
bina jale to ghalat-fahmiyan baDhate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.