yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren
yūñhī kisī ke dhyān meñ apne aap meñ gaatī do-pahreñ
narm gulābī jāḌoñ vaalī baal sukhātī do-pahreñ
saare ghar meñ shaam Dhale tak khel vo dhuup aur chhāñv kā
lappe patte kachche āñgan meñ loT lagātī do-pahreñ
jīvan-Dor ke pīchhe hairāñ bhāgtī Tolī bachchoñ kī
galiyoñ galiyoñ nañge paañv dhuul uḌātī do-pahreñ
sargoshī karte parde kunDī khaTkātā naT-khaT din
dabe dabe qadmoñ se taptī chhat par jaatī do-pahreñ
kamre meñ hairān khaḌe ā.īna jaise hañste din
ḳhud se laḌ kar gaurayyā sī shor machātī do-pahreñ
vahī muzāfātoñ ke bhed bhare sannāToñ vaale ghar
guḌiyoñ ke lab sī kar un kā byaah rachātī do-pahreñ
khiḌkī ke TuuTe shīshoñ par ek kahānī likhtī haiñ
mañDhe hue piile kāġhaz se chhan kar aatī do-pahreñ
niim tale vo kachche dhāge rañgtī huī purānī yaad
gherā Daale chhoTī chhoTī haath baTātī do-pahreñ
phaTī-purānī kathrī oḌhe dhuup señkte būḌhe din
peshānī tak pallū khīñche chilam banātī do-pahreñ
paanī kī taqsīm ke pīchhe jalte khet sulagte ghar
aur khetoñ kī zard muñDeroñ par kumlātī do-pahreñ
purvā.ī se laḌte kitne varaq purānī yādoñ ke
sauġhātoñ ke sandūqoñ ko dhuup dikhātī do-pahreñ
dukhtī āñkheñ zaḳhmī poreñ uljhe dhāgoñ jaise din
bādal jaisī oḌhniyoñ par phuul khilātī do-pahreñ
oḌhniyoñ ke uḌte bādal rañgoñ ke bāzāroñ meñ
chūḌī kī dūkānoñ se vo hameñ bulātī do-pahreñ
sunte haiñ ab un galiyoñ meñ phuul sharāre khilte haiñ
ḳhuun kī holī khel rahī haiñ rañg nahātī do-pahreñ
ye to mere ḳhvāb nahīñ haiñ ye to merā shahr nahīñ
kis jānib se aa niklī haiñ ye gahnātī do-pahreñ
yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren
narm gulabi jaDon wali baal sukhati do-pahren
sare ghar mein sham Dhale tak khel wo dhup aur chhanw ka
lappe patte kachche aangan mein loT lagati do-pahren
jiwan-Dor ke pichhe hairan bhagti Toli bachchon ki
galiyon galiyon nange panw dhul uDati do-pahren
sargoshi karte parde kunDi khaTkata naT-khaT din
dabe dabe qadmon se tapti chhat par jati do-pahren
kamre mein hairan khaDe aaina jaise hanste din
KHud se laD kar gaurayya si shor machati do-pahren
wahi muzafaton ke bhed bhare sannaTon wale ghar
guDiyon ke lab si kar un ka byah rachati do-pahren
khiDki ke TuTe shishon par ek kahani likhti hain
manDhe hue pile kaghaz se chhan kar aati do-pahren
nim tale wo kachche dhage rangti hui purani yaad
ghera Dale chhoTi chhoTi hath baTati do-pahren
phaTi-purani kathri oDhe dhup senkte buDhe din
peshani tak pallu khinche chilam banati do-pahren
pani ki taqsim ke pichhe jalte khet sulagte ghar
aur kheton ki zard munDeron par kumlati do-pahren
purwai se laDte kitne waraq purani yaadon ke
saughaton ke sanduqon ko dhup dikhati do-pahren
dukhti aankhen zaKHmi poren uljhe dhagon jaise din
baadal jaisi oDhniyon par phul khilati do-pahren
oDhniyon ke uDte baadal rangon ke bazaron mein
chuDi ki dukanon se wo hamein bulati do-pahren
sunte hain ab un galiyon mein phul sharare khilte hain
KHun ki holi khel rahi hain rang nahati do-pahren
ye to mere KHwab nahin hain ye to mera shahr nahin
kis jaanib se aa nikli hain ye gahnati do-pahren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.