Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho

Meer Taqi Meer

bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho

Meer Taqi Meer

baare duniyā meñ raho ġham-zada shaad raho

aisā kuchh kar ke chalo yaañ ki bahut yaad raho

ishq-peche tarah husn-e-giraftārī hai

lutf kyā sarv mānind gar āzād raho

ham ko dīvāngī shahroñ meñ ḳhush aatī hai

dasht meñ qais raho koh meñ farhād raho

vo garāñ ḳhvāb jo hai naaz apne so hai

daad be-dād raho shab ko ki fariyād raho

'mīr' ham mil ke bahut ḳhush hue tum se pyāre

is ḳharābe meñ mirī jaan tum ābād raho

bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho

aisa kuchh kar ke chalo yan ki bahut yaad raho

ishq-peche ki tarah husn-e-giraftari hai

lutf kya sarw ki manind gar aazad raho

hum ko diwangi shahron hi mein KHush aati hai

dasht mein qais raho koh mein farhad raho

wo garan KHwab jo hai naz ka apne so hai

dad be-dad raho shab ko ki fariyaad raho

'mir' hum mil ke bahut KHush hue tum se pyare

is KHarabe mein meri jaan tum aabaad raho

RECITATIONS

Ahmad Mahfuz

Ahmad Mahfuz,

00:00/00:00
Ahmad Mahfuz

bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho Ahmad Mahfuz

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now