Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baqi hai wahi shoKHi-e-guftar abhi tak

Aarif Naqshbandi

baqi hai wahi shoKHi-e-guftar abhi tak

Aarif Naqshbandi

baaqī hai vahī shoḳhi-e-guftār abhī tak

dīvāne pahuñchte haiñ sar-e-dār abhī tak

sar par hai bahāroñ ke mire ḳhuun sahrā

ālūda lahū se haiñ gul o ḳhaar abhī tak

āzādi-e-kāmil ke tasavvur meñ hai insāñ

apne ḳhayāloñ meñ giraftār abhī tak

gaate haiñ uḳhuvvat ke tarāne to shab o roz

barbādi-e-ālam ko haiñ tayyār abhī tak

begāna bane laakh mohabbat se zamāna

hai jins-e-garāñ-māya tirā pyaar abhī tak

hotī hai ḳhayāloñ meñ tanzīm chaman

kirdār badle haiñ na guftār abhī tak

ma.asūm hai ma.asūm bahut amn devī

qabze meñ liye ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhār abhī tak

'ārif' ye zamāna to badalnā paḌegā

uTTho bhī hai is vahī raftār abhī tak

baqi hai wahi shoKHi-e-guftar abhi tak

diwane pahunchte hain sar-e-dar abhi tak

sar par hai bahaaron ke mere KHun ka sahra

aaluda lahu se hain gul o KHar abhi tak

aazadi-e-kaamil ke tasawwur mein hai insan

apne hi KHayalon mein giraftar abhi tak

gate hain uKHuwwat ke tarane to shab o roz

barbaadi-e-alam ko hain tayyar abhi tak

begana bane lakh mohabbat se zamana

hai jins-e-garan-maya tera pyar abhi tak

hoti hai KHayalon hi mein tanzim chaman ki

kirdar hi badle hain na guftar abhi tak

masum hai masum bahut amn ki dewi

qabze mein liye KHanjar-e-KHun-KHar abhi tak

'arif' ye zamana to badalna hi paDega

uTTho bhi hai is ki wahi raftar abhi tak

Source :
  • Book : Lamhoon Ki Dhadkane (Pg. 83)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now