Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona

Munawwar Rana

baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona

Munawwar Rana

bādshāhoñ ko sikhāyā hai qalandar honā

aap āsān samajhte haiñ munavvar honā

ek aañsū bhī hukūmat ke liye ḳhatra hai

tum ne dekhā nahīñ āñkhoñ samundar honā

sirf bachchoñ mohabbat ne qadam rok liye

varna āsān thā mere liye be-ghar honā

ham ko ma.alūm hai shohrat bulandī ham ne

qabr miTTī dekhā hai barābar honā

is ko qismat ḳharābī kahā jā.egā

aap shahr meñ aanā mirā bāhar honā

sochtā huuñ to kahānī tarah lagtā hai

rāste se mirā taknā tirā chhat par honā

mujh ko qismat pahuñchne nahīñ detī varna

ek e.azāz hai us dar gadāgar honā

sirf tārīḳh batāne ke liye zinda huuñ

ab mirā ghar meñ bhī honā hai calendar honā

baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona

aap aasan samajhte hain munawwar hona

ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai

tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona

sirf bachchon ki mohabbat ne qadam rok liye

warna aasan tha mere liye be-ghar hona

hum ko malum hai shohrat ki bulandi hum ne

qabr ki miTTi ka dekha hai barabar hona

is ko qismat ki KHarabi hi kaha jaega

aap ka shahr mein aana mera bahar hona

sochta hun to kahani ki tarah lagta hai

raste se mera takna tera chhat par hona

mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna

ek eazaz hai us dar ka gadagar hona

sirf tariKH batane ke liye zinda hun

ab mera ghar mein bhi hona hai calendar hona

Source :
  • Book : Sukhan Sarai (Pg. 18)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now