Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai

Farooq Banspari

ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai

Farooq Banspari

MORE BYFarooq Banspari

  ba-roz-e-hashr mire saath dil-lagī to hai

  ki jaise baat koī aap se chhupī to hai

  na chheḌo bāda-kasho mai-kade meñ vaa.iz ko

  bahak ke aa gayā bechāra aadmī to hai

  qusūr ho gayā qadmoñ pe loT jaane

  burā na māniye sarkār be-ḳhudī to hai

  riyāz-e-ḳhuld itnā baḌhā chaḌhā ke bayāñ

  ki jaise vo mire mahbūb galī to hai

  yaqīñ mujhe bhī hai vo ā.eñge zarūr magar

  vafā karegī kahāñ tak ki zindagī to hai

  mire baġhair añdherā tumheñ satā.egā

  sahar ko shaam banā degī āshiqī to hai

  ba-chashm-e-nam tirī dargāh se gayā 'fārūq'

  ḳhatā muaaf ki ye banda-parvarī to hai

  ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai

  ki jaise baat koi aap se chhupi hi to hai

  na chheDo baada-kasho mai-kade mein waiz ko

  bahak ke aa gaya bechaara aadmi hi to hai

  qusur ho gaya qadmon pe loT jaane ka

  bura na maniye sarkar be-KHudi hi to hai

  riyaz-e-KHuld ka itna baDha chaDha ke bayan

  ki jaise wo mere mahbub ki gali hi to hai

  yaqin mujhe bhi hai wo aaenge zarur magar

  wafa karegi kahan tak ki zindagi hi to hai

  mere baghair andhera tumhein sataega

  sahar ko sham bana degi aashiqi hi to hai

  ba-chashm-e-nam teri dargah se gaya 'faruq'

  KHata muaf ki ye banda-parwari hi to hai

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai Nomaan Shauque

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now