Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-harf-e-surat inkar toD di maine

Shahid Kamal

ba-harf-e-surat inkar toD di maine

Shahid Kamal

ba-harf-e-sūrat inkār toḌ maiñ ne

diloñ ke biich dīvār toḌ maiñ ne

vo be-ḳhudī meñ tirā naam lab pe aa gayā

lo ye qasam bhī mire yaar toḌ maiñ ne

tire ġhubār-e-kaf-e-pā kaj-kulāhī meñ

ġhurūr-o-naḳhvat-e-dastār toḌ maiñ ne

is ājizī se kiyā us ne mere sar savāl

ḳhud apne haath se talvār toḌ maiñ ne

kuchh is tarah se baḌhī lazzat-e-ḳhalish dil

jigar meñ dard sūfār toḌ maiñ ne

sadā-e-nāla-e-be-iḳhtiyār se apne

tire sukūt raftār toḌ maiñ ne

mire jasārat-e-tarz-e-suḳhan daad to de

rivāyat-e-lab-o-ruḳhsār toḌ maiñ ne

ba-harf-e-surat inkar toD di main ne

dilon ke bich ki diwar toD di main ne

wo be-KHudi mein tera nam lab pe aa hi gaya

lo ye qasam bhi mere yar toD di main ne

tere ghubar-e-kaf-e-pa ki kaj-kulahi mein

ghurur-o-naKHwat-e-dastar toD di main ne

is aajizi se kiya us ne mere sar ka sawal

KHud apne hath se talwar toD di main ne

kuchh is tarah se baDhi lazzat-e-KHalish dil ki

jigar mein dard ki sufar toD di main ne

sada-e-nala-e-be-iKHtiyar se apne

tere sukut ki raftar toD di main ne

mere jasarat-e-tarz-e-suKHan ki dad to de

riwayat-e-lab-o-ruKHsar toD di main ne

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now