Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke

Hasrat Mohani

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke

Hasrat Mohani

aur bhī ho ga.e begāna vo ġhaflat kar ke

āzmāyā jo unheñ zabt-e-mohabbat kar ke

dil ne chhoḌā hai na chhoḌe tire milne ḳhayāl

bār-hā dekh liyā ham ne malāmat kar ke

dekhne aa.e the vo apnī mohabbat asar

kahne ko ye hai ki aa.e haiñ ayādat kar ke

pasti-e-hausla-e-shauq ab hai ye salāh

baiTh rahiye ġham-e-hijrāñ pe qanā.at kar ke

dil ne paayā hai mohabbat ye aalī rutba

aap ke dard-e-davā-kār ḳhidmat kar ke

ruuh ne paa.ī hai taklīf-e-judā.ī se najāt

aap yaad ko sarmāya-e-rāhat kar ke

chheḌ se ab vo ye kahte haiñ ki sambhlo 'hasrat'

sabr o tāb-e-dil-e-bīmār ko ġhārat kar ke

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke

aazmaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke

dil ne chhoDa hai na chhoDe tere milne ka KHayal

bar-ha dekh liya hum ne malamat kar ke

dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar

kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke

pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salah

baiTh rahiye gham-e-hijran pe qanaat kar ke

dil ne paya hai mohabbat ka ye aali rutba

aap ke dard-e-dawa-kar ki KHidmat kar ke

ruh ne pai hai taklif-e-judai se najat

aap ki yaad ko sarmaya-e-rahat kar ke

chheD se ab wo ye kahte hain ki sambhlo 'hasrat'

sabr o tab-e-dil-e-bimar ko ghaarat kar ke

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now