Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoDa na phir kahin ka

Shibli Nomani

asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoDa na phir kahin ka

Shibli Nomani

asar ke pīchhe dil-e-hazīñ ne nishān chhoḌā na phir kahīñ

ga.e haiñ naale jo sū-e-gardūñ to ashk ne ruḳh kiyā zamīñ

bhalī thī taqdīr burī thī ye raaz kis tarah se ayaañ ho

butoñ ko sajde kiye haiñ itne ki miT gayā sab likhā jabīñ

vahī laḌakpan shoḳhiyāñ haiñ vo aglī sahī sharārteñ haiñ

siyāne hoñge to haañ bhī hogī abhī to san hai nahīñ nahīñ

ye nazm-e-ā.īñ ye tarz-e-bandish suḳhanvarī hai fusūñ-garī hai

ki reḳhta meñ bhī tere 'shiblī' maza hai tarz-e-'alī-hazīñ'

asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoDa na phir kahin ka

gae hain nale jo su-e-gardun to ashk ne ruKH kiya zamin ka

bhali thi taqdir ya buri thi ye raaz kis tarah se ayan ho

buton ko sajde kiye hain itne ki miT gaya sab likha jabin ka

wahi laDakpan ki shoKHiyan hain wo agli hi sahi shararten hain

siyane honge to han bhi hogi abhi to san hai nahin nahin ka

ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish suKHanwari hai fusun-gari hai

ki reKHta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka

Source :
  • Book : kalam-e-shibli (Pg. 112)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now