Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni to guzri hai aksar apni hi man-mani mein

Vilas Pandit Musafir

apni to guzri hai aksar apni hi man-mani mein

Vilas Pandit Musafir

apnī to guzrī hai aksar apnī man-mānī meñ

lekin achchhe kaam bhī ham ne kar Daale nādānī meñ

ham Thahre āvāra panchhī sair gagan karte haiñ

jaan ke ham ko kyā karnā hai kaun hai kitne paanī meñ

ruuh ko us raah patthar banñā manzūr na thā

baazī ham ne jiitī hai apnī is qurbānī meñ

yaar na.ī kuchh baat agar ho ham bhī sajda kar leñge

aksar ek baat sunī hai sab santoñ baanī meñ

mehnat kar ke ham to āḳhir bhūke bhī so jā.eñge

maulā barkat rakhnā bachchoñ guḌ-dhānī meñ

mauqe to ham tak bhī aa.e ḳhuub kamā khā lete ham

lekin ek zamīr thā bhītar allāh nigrānī meñ

apni to guzri hai aksar apni hi man-mani mein

lekin achchhe kaam bhi hum ne kar Dale nadani mein

hum Thahre aawara panchhi sair gagan ki karte hain

jaan ke hum ko kya karna hai kaun hai kitne pani mein

ruh ko us ki rah ka patthar banna hi manzur na tha

bazi hum ne hi jiti hai apni is qurbani mein

yar nai kuchh baat agar ho hum bhi sajda kar lenge

aksar ek hi baat suni hai sab santon ki bani mein

mehnat kar ke hum to aaKHir bhuke bhi so jaenge

ya maula tu barkat rakhna bachchon ki guD-dhani mein

mauqe to hum tak bhi aae KHub kama kha lete hum

lekin ek zamir tha bhitar allah ki nigrani mein

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now