Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni hasti ka agar husn numayan ho jae

Bedam Shah Warsi

apni hasti ka agar husn numayan ho jae

Bedam Shah Warsi

apnī hastī agar husn numāyāñ ho jaa.e

aadmī kasrat-e-anvār se hairāñ ho jaa.e

tum jo chāho to mire dard darmāñ ho jaa.e

varna mushkil hai ki mushkil mirī āsāñ ho jaa.e

o namak-pāsh tujhe apnī malāhat qasam

baat to jab hai ki har zaḳhm namakdāñ ho jaa.e

dene vaale tujhe denā hai to itnā de de

ki mujhe shikva-e-kotāhī-e-dāmāñ ho jaa.e

us siyah-baḳht rāteñ bhī koī rāteñ haiñ

ḳhvāb-e-rāhat bhī jise ḳhvāb-e-pareshāñ ho jaa.e

sīna-e-shiblī-o-mansūr to phūñkā ne

is taraf bhī karam ai jumbish-e-dāmāñ ho jaa.e

āḳhirī saañs bane zamzam-e-hū apnā

sāz-e-mizrāb-e-fanā tār-e-rag-e-jāñ ho jaa.e

jo asrār-e-haqīqat kahīñ zāhir kar de

abhī 'bedam' rasan-o-dār sāmāñ ho jaa.e

apni hasti ka agar husn numayan ho jae

aadmi kasrat-e-anwar se hairan ho jae

tum jo chaho to mere dard ka darman ho jae

warna mushkil hai ki mushkil meri aasan ho jae

o namak-pash tujhe apni malahat ki qasam

baat to jab hai ki har zaKHm namakdan ho jae

dene wale tujhe dena hai to itna de de

ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae

us siyah-baKHt ki raaten bhi koi raaten hain

KHwab-e-rahat bhi jise KHwab-e-pareshan ho jae

sina-e-shibli-o-mansur to phunka tu ne

is taraf bhi karam ai jumbish-e-daman ho jae

aaKHiri sans bane zamzam-e-hu apna

saz-e-mizrab-e-fana tar-e-rag-e-jaan ho jae

tu jo asrar-e-haqiqat kahin zahir kar de

abhi 'bedam' rasan-o-dar ka saman ho jae

Source :
  • Book : Noquush (Pg. B-334 E-340)
  • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
  • Edition : May June 1954
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now