Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne bichhDe hue yaron ki taraf jate hue

Salim Saleem

apne bichhDe hue yaron ki taraf jate hue

Salim Saleem

apne bichhḌe hue yāroñ taraf jaate hue

haiñ sabhī log mazāroñ taraf jaate hue

kahkashā.eñ mirī miTTī taraf aatī huiiñ

mire zarrāt sitāroñ taraf jaate hue

ham nikal aa.e haiñ ḳhud apne sāhil ke qarīb

tire bahte hue dhāroñ taraf jaate hue

kaisā hangāma bapā hai ki mire shahr ke log

ḳhāmushī DhūñDhne ġhāroñ taraf jaate hue

vo bhī dariyā meñ Thaharne nahīñ aaj shab

ham bhī an-dekhe kināroñ taraf jaate hue

apne bichhDe hue yaron ki taraf jate hue

hain sabhi log mazaron ki taraf jate hue

kahkashaen meri miTTi ki taraf aati huin

mere zarraat sitaron ki taraf jate hue

hum nikal aae hain KHud apne hi sahil ke qarib

tere bahte hue dhaaron ki taraf jate hue

kaisa hangama bapa hai ki mere shahr ke log

KHamushi DhunDhne ghaaron ki taraf jate hue

wo bhi dariya mein Thaharne ka nahin aaj ki shab

hum bhi an-dekhe kinaron ki taraf jate hue

Source :
  • Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 113)
  • Author : Salim Saleem
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 2nd
  • Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 108)
  • Author : Salim Saleem
  • Publication : Rekhta Publications (2017)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now