Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki lagi rah jaegi

Mughni Tabassum

dil ki lagi rah jaegi

Mughni Tabassum

dil lagī rah jā.egī

koī kamī rah jā.egī

sho.ale to bujh jā.eñge

aag dabī rah jā.egī

sūkhe patte bikhreñge

shāḳh harī rah jā.egī

ā.īne kho jā.eñge

hairānī rah jā.egī

darvāze chup sādheñge

aahaT rah jā.egī

dard ke phaile sāyoñ meñ

tanhā.ī rah jā.egī

vaqt Thahar jā.egā

raat aadhī rah jā.egī

dil ki lagi rah jaegi

koi kami rah jaegi

shoale to bujh jaenge

aag dabi rah jaegi

sukhe patte bikhrenge

shaKH hari rah jaegi

aaine kho jaenge

hairani rah jaegi

darwaze chup sadhenge

aahaT si rah jaegi

dard ke phaile sayon mein

tanhai rah jaegi

waqt Thahar sa jaega

raat aadhi rah jaegi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now