Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

Jagat Mohan Lal Ravan

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

Jagat Mohan Lal Ravan

anjām ye huā hai dil-e-be-qarār

thamtā nahīñ hai paañv hamāre ġhubār

pahle kiyā ḳhayāl na gul na ḳhaar

ab dukh rahā hai paañv nasīm-e-bahār

paiham diye vo ranj ki insāñ banā diyā

minnat-pazīr huuñ sitam-e-rozgār

us ko ḳhizāñ ke aane kyā ranj kyā qalaq

rote kaTā ho jis ko zamāna bahār

maḳhfī hai is meñ rāz-e-baqā-e-hayāt-e-ishq

kyā pūchhte ho haal dil-e-be-qarār

majbūriyāñ sitam haiñ vagarna ḳhudā shaan

maiñ aur yuuñ guzār duuñ mausam bahār

ġhāfil nigah-e-hosh se rañg-e-chaman ko dekh

parvurda-e-ḳhizāñ hai zamāna bahār

niklā hai dam 'ravāñ' tamannā ke saath saath

allāh-re zor nāla-e-be-iḳhteyār

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

thamta nahin hai panw hamare ghubar ka

pahle kiya KHayal na gul ka na KHar ka

ab dukh raha hai panw nasim-e-bahaar ka

paiham diye wo ranj ki insan bana diya

minnat-pazir hun sitam-e-rozgar ka

us ko KHizan ke aane ka kya ranj kya qalaq

rote kaTa ho jis ko zamana bahaar ka

maKHfi hai is mein raaz-e-baqa-e-hayat-e-ishq

kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka

majburiyan sitam hain wagarna KHuda ki shan

main aur yun guzar dun mausam bahaar ka

ghafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh

parwurda-e-KHizan hai zamana bahaar ka

nikla hai dam 'rawan' ka tamanna ke sath sath

allah-re zor nala-e-be-iKHteyar ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now