Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andhera mere baatin mein paDa tha

Ateequllah

andhera mere baatin mein paDa tha

Ateequllah

MORE BYAteequllah

    añdherā mere bātin meñ paḌā thā

    koī mujh ko pukāre rahā thā

    ham apne āsmānoñ meñ kahīñ the

    hamāre pīchhe koī aa rahā thā

    ufuq sunsān hote rahe the

    sukūt-e-vasl manzar bhī kyā thā

    chamak kaisī badan se phuuT niklī

    hamāre haath meñ kis sirā thā

    sar-e-lams-e-badan jo lazzateñ thiiñ

    ḳhatā ke batn meñ jo kaif thā

    maiñ sadiyoñ us taraf thā aur vo mujh ko

    mirī maujūdgī meñ dekhtā thā

    koī shab DhūñDtī thī mujh ko aur maiñ

    tirī nīñdoñ meñ kar so gayā thā

    usī ne zulmateñ phailā rakhī haiñ

    asās-e-ḳhvāb par jis ko rakhā thā

    andhera mere baatin mein paDa tha

    koi mujh ko pukare ja raha tha

    hum apne aasmanon mein kahin the

    hamare pichhe koi aa raha tha

    ufuq sunsan hote ja rahe the

    sukut-e-wasl ka manzar bhi kya tha

    chamak kaisi badan se phuT nikli

    hamare hath mein kis ka sira tha

    sar-e-lams-e-badan jo lazzaten thin

    KHata ke batn mein jo kaif sa tha

    main sadiyon us taraf tha aur wo mujh ko

    meri maujudgi mein dekhta tha

    koi shab DhunDti thi mujh ko aur main

    teri nindon mein ja kar so gaya tha

    usi ne zulmaten phaila rakhi hain

    asas-e-KHwab par jis ko rakha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now