kabhi chandni mein wo aaya tha meri raat tab se jawan hai
kabhī chāñdnī meñ vo aayā thā mirī raat tab se javān hai
vo jo ek lamha huzūrī thī vo hī lamha merā jahān hai
huā 'ishq to ye pata chalā ki vujūd sirf gumān hai
ye jahāñ numūd-e-sarāb hai na sabāt hai na amaan hai
vahī ek baat jo dil meñ thī mire fikr-o-fan meñ samā ga.ī
vahī an-kahī to mire liye mire har suḳhan kī zabān hai
ka.ī shahr mujh se guzar ga.e maiñ kisī jagah na Thahar sakā
mirī rah-navardī kā kul sila yahī gard-e-rāh-e-jahān hai
thī jo ruuh merī chalī ga.ī sabhī nisbateñ bhī dharī rahīñ
na vo rang ab na vo bū-e-ḳhush na vo pahle jaisā makān hai
mire paaoñ dhuul se aT ga.e mire haath ḳhālī simaT ga.e
na thakā ye shauq-e-safar magar mirī soch merī uḌaan hai
kabhi chandni mein wo aaya tha meri raat tab se jawan hai
wo jo ek lamha huzuri thi wo hi lamha mera jahan hai
hua 'ishq to ye pata chala ki wujud sirf guman hai
ye jahan numud-e-sarab hai na sabaat hai na aman hai
wahi ek baat jo dil mein thi mere fikr-o-fan mein sama gai
wahi an-kahi to mere liye mere har suKHan ki zaban hai
kai shahr mujh se guzar gae main kisi jagah na Thahar saka
meri rah-nawardi ka kul sila yahi gard-e-rah-e-jahan hai
thi jo ruh meri chali gai sabhi nisbaten bhi dhari rahin
na wo rang ab na wo bu-e-KHush na wo pahle jaisa makan hai
mere paon dhul se aT gae mere hath KHali simaT gae
na thaka ye shauq-e-safar magar meri soch meri uDan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.