Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisi hui sarsabz-shikayat ki kaDi baat

Muneer Shikohabadi

aisi hui sarsabz-shikayat ki kaDi baat

Muneer Shikohabadi

aisī huī sarsabz-shikāyat kaḌī baat

sabze tarah kaan meñ us gul paḌī baat

kyūñkar dahan-e-tañg se zāhir ho kaḌī baat

muñh aap chhoTā hai na niklegī baḌī baat

gul-rañg tire hoñTh hue bār-e-suḳhan se

ai jaan uḌā le ga.ī missī dhaḌī baat

tere suḳhan-e-saḳht meñ hai husn-e-nazākat

kānoñ ko huī pamba-e-mahtāb kaḌī baat

is pech se tum mujh ko uḌāte ho dam-e-nutq

zanjīr-e-ram-e-hosh bantī hai kaḌī baat

taqrīr tirī shāḳh-e-gul-e-tāza hai ai mast

detī hai kaf-e-bāda meñ phūloñ chhaḌī baat

vasf-e-dur-e-dandāñ se ye baḌh jaate haiñ rutbe

rag rag ko banā detī hai motī laḌī baat

har kaan huā hai sabad-e-gul se ziyāda

kyā phuul ke mānind tire muñh se jhaḌī baat

dhotā hai suḳhan dil se ġhubār-e-ġham-e-duniyā

hai gard-e-alam ke liye sāvan jhaḌī baat

kyā mohr banā.ī tire yāqūt-e-suḳhan

mānind-e-nagīñ ham ne añgūThī meñ jaḌī baat

naqd-e-suḳhan-e-pāk diyā gard-e-qalaq meñ

ganjīne ke mānind tah-e-ḳhāk gaḌī baat

jis roz maiñ gintā huuñ tire aane ghaḌiyāñ

sūraj ko banā detī hai sone ghaḌī baat

ustād ke ehsān kar shukr 'munīr' aaj

ahl-e-suḳhan ne tirī tārīf baḌī baat

aisi hui sarsabz-shikayat ki kaDi baat

sabze ki tarah kan mein us gul ki paDi baat

kyunkar dahan-e-tang se zahir ho kaDi baat

munh aap ka chhoTa hai na niklegi baDi baat

gul-rang tere honTh hue bar-e-suKHan se

ai jaan uDa le gai missi ki dhaDi baat

tere suKHan-e-saKHt mein hai husn-e-nazakat

kanon ko hui pamba-e-mahtab kaDi baat

is pech se tum mujh ko uDate ho dam-e-nutq

zanjir-e-ram-e-hosh ki banti hai kaDi baat

taqrir teri shaKH-e-gul-e-taza hai ai mast

deti hai kaf-e-baada mein phulon ki chhaDi baat

wasf-e-dur-e-dandan se ye baDh jate hain rutbe

rag rag ko bana deti hai moti ki laDi baat

har kan hua hai sabad-e-gul se ziyaada

kya phul ke manind tere munh se jhaDi baat

dhota hai suKHan dil se ghubar-e-gham-e-duniya

hai gard-e-alam ke liye sawan ki jhaDi baat

kya mohr banai tere yaqut-e-suKHan ki

manind-e-nagin hum ne anguThi mein jaDi baat

naqd-e-suKHan-e-pak diya gard-e-qalaq mein

ganjine ke manind tah-e-KHak gaDi baat

jis roz main ginta hun tere aane ki ghaDiyan

suraj ko bana deti hai sone ki ghaDi baat

ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj

ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat

Source :
  • Muntakhabul-Alam
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now