Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

Iqbal Sajid

aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

Iqbal Sajid

aise ghar meñ rah rahā huuñ dekh le be-shak koī

jis ke darvāze qismat meñ nahīñ dastak koī

yuuñ to hone ko sabhī kuchh hai mire dil meñ magar

is dukāñ par aaj tak aayā nahīñ gāhak koī

vo ḳhudā khoj meñ ḳhud āḳhirī had tak gayā

ḳhud ko paane magar koshish na anthak koī

baaġh meñ kal raat phūloñ havelī luT ga.ī

chashm-e-shabnam se churā kar le gayā ThanDak koī

de gayā āñkhoñ ko farsh-e-rāh banñe sila

de gayā bīnā.ī ko sauġhāt meñ dīmak koī

ek bhī ḳhvāhish ke hāthoñ meñ na mehñdī lag sakī

mere jazboñ meñ na dūlhā ban sakā ab tak koī

vo bhī 'sājid' thā mire jazboñ chorī meñ sharīk

us jānib kyuuñ nahīñ uTThī nigāh-e-shak koī

aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

jis ke darwaze ki qismat mein nahin dastak koi

yun to hone ko sabhi kuchh hai mere dil mein magar

is dukan par aaj tak aaya nahin gahak koi

wo KHuda ki khoj mein KHud aaKHiri had tak gaya

KHud ko pane ki magar koshish na ki anthak koi

bagh mein kal raat phulon ki haweli luT gai

chashm-e-shabnam se chura kar le gaya ThanDak koi

de gaya aankhon ko farsh-e-rah banne ka sila

de gaya binai ko saughat mein dimak koi

ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki

mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi

wo bhi 'sajid' tha mere jazbon ki chori mein sharik

us ki jaanib kyun nahin uTThi nigah-e-shak koi

Source :
  • Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 85)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now