zamane ka yaqinan aaina hun
zamāne kā yaqīnan aa.ina huuñ
haqīqat is liye dikhlā rahā huuñ
na maqtal hai na qātil hai magar maiñ
musalsal qatl hotā jā rahā huuñ
sabab kyā hai mirī bechainiyoñ kā
na jaane aaj kyuuñ ghabrā rahā huuñ
mirī barbādiyoñ par hañsne vaale
bahut nādān haiñ maiñ jāntā huuñ
koī ā.īna merī zaat kā hai
kisī kī zaat kā maiñ aa.ina huuñ
bahut aa.e gaye duniyā meñ 'aḳhtar'
jo kahte the ki maiñ hī to ḳhudā huuñ
zamane ka yaqinan aaina hun
haqiqat is liye dikhla raha hun
na maqtal hai na qatil hai magar main
musalsal qatl hota ja raha hun
sabab kya hai meri bechainiyon ka
na jaane aaj kyun ghabra raha hun
meri barbaadiyon par hansne wale
bahut nadan hain main jaanta hun
koi aaina meri zat ka hai
kisi ki zat ka main aaina hun
bahut aae gaye duniya mein 'aKHtar'
jo kahte the ki main hi to KHuda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.