silsila TuTne bikharne ka
silsila TūTne bikharne kā
ab bhī jaarī hai jiine marne kā
vaqt hai kis ke paas dekho to
sochne aur fikr karne kā
zindagī dard ke sivā kyā hai
kaam zaḳhmoñ ko sī ke bharne kā
aa.ina le ke baiThiye sāhab
gar irāda ho kuchh sañvarne kā
kaun sā kaam ho nahīñ saktā
hausla ho jo kar guzarne kā
aap ke saath hī irāda hai
ab to 'farhān' jiine marne kā
silsila TuTne bikharne ka
ab bhi jari hai jine marne ka
waqt hai kis ke pas dekho to
sochne aur fikr karne ka
zindagi dard ke siwa kya hai
kaam zaKHmon ko si ke bharne ka
aaina le ke baiThiye sahab
gar irada ho kuchh sanwarne ka
kaun sa kaam ho nahin sakta
hausla ho jo kar guzarne ka
aap ke sath hi irada hai
ab to 'farhan' jine marne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.