pichhle pahar ajib sa ek KHwab dekh kar
pichhle pahar 'ajīb sā ik ḳhvāb dekh kar
maiñ Dar gayā thā dasht meñ tālāb dekh kar
yā'nī ki donoñ samt barābar kī aag thī
ham mutma.in haiñ aap ko betāb dekh kar
itne dinoñ shadīd udāsī ke baa'd aaj
ā.īna ḳhush huā mujhe shādāb dekh kar
kin kin ko apnā dost samajhtā rahā huuñ maiñ
hañstā huuñ apnā halqa-e-ahbāb dekh kar
us kā maqām aur thā 'hassām' dukh huā
un 'aam pattharoñ meñ vo nāyāb dekh kar
pichhle pahar 'ajib sa ek KHwab dekh kar
main Dar gaya tha dasht mein talab dekh kar
ya'ni ki donon samt barabar ki aag thi
hum mutmain hain aap ko betab dekh kar
itne dinon shadid udasi ke ba'd aaj
aaina KHush hua mujhe shadab dekh kar
kin kin ko apna dost samajhta raha hun main
hansta hun apna halqa-e-ahbab dekh kar
us ka maqam aur tha 'hassam' dukh hua
un 'am pattharon mein wo nayab dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.