nur hi nur bhar gaya mujh mein
nuur hī nuur bhar gayā mujh meñ
ik sitāra utar gayā mujh meñ
is qadar zor kā chhanākā huā
koī ḳhush-‘aks Dar gayā mujh meñ
yuuñ zamāne ne ghuur kar dekhā
ek bachcha sudhar gayā mujh meñ
maiñ use āzmāne vaalī thī
vo jo lamha mukar gayā mujh meñ
kitne sikke the us ke kaase meñ
kyā koī dar-ba-dar gayā mujh meñ?
aa.ina nasb kar diyā maiñ ne
phir vo kyā kyā sañvar gayā mujh meñ
ḳhaak uḌāne ko jī kiyā 'mahnāz'
aur rasta Thahar gayā mujh meñ
nur hi nur bhar gaya mujh mein
ek sitara utar gaya mujh mein
is qadar zor ka chhanaka hua
koi KHush-‘aks Dar gaya mujh mein
yun zamane ne ghur kar dekha
ek bachcha sudhar gaya mujh mein
main use aazmane wali thi
wo jo lamha mukar gaya mujh mein
kitne sikke the us ke kase mein
kya koi dar-ba-dar gaya mujh mein?
aaina nasb kar diya main ne
phir wo kya kya sanwar gaya mujh mein
KHak uDane ko ji kiya 'mahnaz'
aur rasta Thahar gaya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.