matn kaisa hai hashiya kya hai
matn kaisā hai hāshiya kyā hai
dekhte haiñ muhākama kyā hai
naqd 'aib-o-hunar parakhtī hai
muḳhtalif is se tajziya kyā hai
dil ye kahtā hai ham hī ḳhātī haiñ
is se behtar muhāsba kyā hai
haiñ sabhī aa.ine nishāne par
dosto ye mu'āmla kyā hai
zaḳhm khānā jigar lahū karnā
aur shā'ir kā mashġhala kyā hai
matn kaisa hai hashiya kya hai
dekhte hain muhakama kya hai
naqd 'aib-o-hunar parakhti hai
muKHtalif is se tajziya kya hai
dil ye kahta hai hum hi KHati hain
is se behtar muhasba kya hai
hain sabhi aaine nishane par
dosto ye mu'amla kya hai
zaKHm khana jigar lahu karna
aur sha'ir ka mashghala kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.