kuchh is tarah wo pairahan-e-surKH tang tha
kuchh is tarah vo pairahan-e-surḳh tang thā
mahfil meñ us ko dekh ke har shaḳhs dang thā
dil mutma.in hai tum se mulāqāt ho ga.ī
ye aa.ina azal se talabgār-e-sang thā
thī maslahat kuchh aur sadāqat kuchh aur thī
ik 'umr merā kaam bas apne se jang thā
yādash-ba-ḳhair jab mirī āñkheñ khulī na thiiñ
maiñ bhī asīr-e-nashsha-e-sahbā-e-rang thā
'irshād' hoTeloñ meñ kaTī saarī zindagī
tum ḳhud kaho ye kaun sā jiine kā Dhang thā
kuchh is tarah wo pairahan-e-surKH tang tha
mahfil mein us ko dekh ke har shaKHs dang tha
dil mutmain hai tum se mulaqat ho gai
ye aaina azal se talabgar-e-sang tha
thi maslahat kuchh aur sadaqat kuchh aur thi
ek 'umr mera kaam bas apne se jang tha
yaadash-ba-KHair jab meri aankhen khuli na thin
main bhi asir-e-nashsha-e-sahba-e-rang tha
'irshad' hoTelon mein kaTi sari zindagi
tum KHud kaho ye kaun sa jine ka Dhang tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.