ek KHwab-e-raegan ko sajaane nikal gaye
ik ḳhvāb-e-rā.egāñ ko sajāne nikal gaye
ham bhī havā pe naqsh banāne nikal gaye
āñkhoñ ke aa.ine meñ likhī thiiñ udāsiyāñ
ham muskurā ke un ko chhupāne nikal gaye
dīvār-e-dil pe us kā jo saaya sā naqsh thā
ham ḳhūn-e-dil se naqsh miTāne nikal gaye
is dil kī tishnagī kā bhalā kyā 'ilāj ho
ham āñsuoñ se pyaas bujhāne nikal gaye
jab koī rāz-dāñ na milā shahr-e-dard meñ
ham pattharoñ ko dard sunāne nikal gaye
ḳhvāboñ kī vādiyoñ meñ thī ik ḳhalq be-ḳhabar
ham shor kar ke sab ko jagāne nikal gaye
'ādat sī 'qais' ho ga.ī ham ko bhī 'ishq kī
ham apnī kā.enāt luTāne nikal gaye
ek KHwab-e-raegan ko sajaane nikal gaye
hum bhi hawa pe naqsh banane nikal gaye
aankhon ke aaine mein likhi thin udasiyan
hum muskura ke un ko chhupane nikal gaye
diwar-e-dil pe us ka jo saya sa naqsh tha
hum KHun-e-dil se naqsh miTane nikal gaye
is dil ki tishnagi ka bhala kya 'ilaj ho
hum aansuon se pyas bujhane nikal gaye
jab koi raaz-dan na mila shahr-e-dard mein
hum pattharon ko dard sunane nikal gaye
KHwabon ki wadiyon mein thi ek KHalq be-KHabar
hum shor kar ke sab ko jagane nikal gaye
'adat si 'qais' ho gai hum ko bhi 'ishq ki
hum apni kaenat luTane nikal gaye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.