Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

Haidar Ali Aatish

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

Haidar Ali Aatish

ai sanam jis ne tujhe chāñd sūrat hai

usī allāh ne mujh ko bhī mohabbat hai

teġh be-āb hai ne bāzū-e-qātil kamzor

kuchh girāñ-jānī hai kuchh maut ne fursat hai

is qadar kis ke liye ye jañg-o-jadal ai gardūñ

na nishāñ mujh ko diyā hai na naubat hai

saañp ke kaaTe lahreñ haiñ shab-o-roz ātīñ

kākul-e-yār ke saude ne aziyyat hai

aa.ī iksīr ġhanī dil nahīñ rakhtī aisā

ḳhāksārī nahīñ hai mujhe daulat hai

sham.a apne fatīla nahīñ kis raat jalā

amal-e-hub bahut ham ne bhī dāvat hai

jism ko zer zamīñ bhī vahī pahuñchā degā

ruuh ko jis ne falak sair tāqat hai

furqat-e-yār meñ ro ro ke basar kartā huuñ

zindagānī mujhe kyā hai musībat hai

yād-e-mahbūb farāmosh na hove ai dil

husn-e-niyyat ne mujhe ishq se ne.amat hai

gosh paidā kiye sunñe ko tirā zikr-e-jamāl

dekhne ko tire, āñkhoñ meñ basārat hai

lutf-e-dil-bastagī-e-āshiq-e-shaidā ko na pūchh

do jahāñ se is asīrī ne farāġhat hai

kamar-e-yār ke mazmūn ko bāñdho 'ātish'

zulf-e-ḳhūbāñ rasā tum ko tabī.at hai

ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai

usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai

tegh be-ab hai ne bazu-e-qatil kamzor

kuchh giran-jaani hai kuchh maut ne fursat di hai

is qadar kis ke liye ye jang-o-jadal ai gardun

na nishan mujh ko diya hai na tu naubat di hai

sanp ke kaTe ki lahren hain shab-o-roz aatin

kakul-e-yar ke saude ne aziyyat di hai

aai iksir ghani dil nahin rakhti aisa

KHaksari nahin di hai mujhe daulat di hai

shama ka apne fatila nahin kis raat jala

amal-e-hub ki bahut hum ne bhi dawat di hai

jism ko zer zamin bhi wahi pahuncha dega

ruh ko jis ne falak sair ki taqat di hai

furqat-e-yar mein ro ro ke basar karta hun

zindagani mujhe kya di hai musibat di hai

yaad-e-mahbub faramosh na howe ai dil

husn-e-niyyat ne mujhe ishq se neamat di hai

gosh paida kiye sunne ko tera zikr-e-jamal

dekhne ko tire, aankhon mein basarat di hai

lutf-e-dil-bastagi-e-ashiq-e-shaida ko na puchh

do jahan se is asiri ne faraghat di hai

kamar-e-yar ke mazmun ko bandho 'atish'

zulf-e-KHuban si rasa tum ko tabiat di hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now